Godaddy Hosting Par WordPress Kaise Install Kare In Hindi

Hello Dosto jab hum apne wordpress blog ke liye hosting lete hain toh too yaha pe jo new beginner bloggers hote hain hote hain unke liye wordpress ko samajh pana bahut hee muskil ho jata hain. dosto yaha par agar aap blogger par bhi blogging karte hain too jab aapko wordpress par move karna hota hain new bloggers ko yaha bahut paresani ka samna karna padta hain. kyunki unko kuch samjh mee hee nahi aata hain. dosto agar aap wordpress ko poore tarah se samjh ke use karte hain too wordpress aapke liye bahut hee jyada assan ho jata hain aur aapko blogging karne me bhi bahut jyada hain.

Godaddy Hosting Par WordPress Kaise Install Kare In Hindi

Dosto main aapko aaj aapko GoDaddy Hosting Par Wordpress ko Install karne ke bare me batane wala hu toh mere post ko read karte rahiye aapko bahut heee jyada helpfull hoga. waise maine abhi blogger par hee blogging karta hu lekin apne wordpress ke experience ke sath aapko ye post share kar raha hu.

Godaddy Hosting Par WordPress Kaise Install Kare In Hindi

Step: 1

Sabse pahle aap apne godaddy ya jaha se hosting liya hain uski site par jaa kar login kare. iske baad Cpanel par jaye aur uske samne WordPress ko manage karne ka Option hoga uss par aapko click karna hain.

Step: 2

Dosto aab aapke samne WordPress ko setup karne ka new window open ho jayega. isme aapka sabse pahle option setup ka hee milega toh aapko uss par click kar dena hain.

Step: 3

Too dosto suru ho jaye kyunki aab aapki Setup karne ka process abb suru hota hain sabse pahle aap create ka new website ke option pe click kare.

Step: 4

Iske baad aapko apne site ke liye user name or password banana hoga. User Name me apna user name daale. dosto security purpose ke liye main aapko bata du ki aap yaha esse words ka use kare jo sabse different ho jisse ki aapka Site hack hone ka change bilkul kaam ho jata hain. main dekha hain aur maine ye khud bhi kiya tha ki most of the time blogger username ko admin rakhte hain aur i think ye bilkul galat tarika hoga username rakhne ka isiliye aap iska dhyan rakhe aur ek dam alag username rakhe. Password wale option me apna password enter kare isko jitna jyada bada yani ki long rakhenge utna hee jyada benefit aapko hoga. iske saath hee dosto aap Special Corrector ka bhi use kare jaise (#,$,%,,&,*,(,&)  aur gmail id apne username ko yaad rakhne ke liya daal kar chood de.

Step: 5

Dosto aab aapko Wordpress Install ka process apne aap run hoga aapke hosting speed aur aapke Internet Speed par aapko setup depend karta hain ki kitni jaldi aapka setup use hoga.

Step: 6  

Mere Experience ke hisab se agar aapko net speed bahut accha hain too aapko lagbhag 30 second lagega Wordpress Install hone me. aab aapko waha ek Account is Ready ka option aayega. aab aapko uspar click karna hain.

Step: 7

aapka Setup complete ho gaya hain. aab aapko apni website ke settings me jana hain iske liye aapke paas jo continue ka option aayega uspar click karna hain. iske baad aapko ka Title or tagling likhna hoga example ke aap meri site ko dekh lijiye BlogMeHelp - Blogging Ki Jankari Hindi Me jo ki main suru see hee rakha hain. mere hisab se aapke liye yahi better hoga ki apne domain name se hee related name type kare.

Step: 8 

In Last aap apni Contact details bhaare or iske baad theme ko apne hisab se select kare. aap theme ko baad me change bhi kar sakte hain.

Congratulation ! All Done ! aapki site aab ready ho aab aapne marzi ke hisab se aapni site ko design kare aur aagar aapko koi bhi problem hain website desiging se related to aap moojhe yaha contact kar sakte hain.

To mujhe ummid hain ki aap apne Hosting Par WordPress ko install karna sikh gaye honge.

I Hope aapko Godaddy Hosting Par WordPress Kaise Install Kare In Hindi acchi lagi hogi toh please aap iss post ko apne Friends or Relatives me share kare taaki wo bhi Apne blog ko suru karne ke liye wordpress ko hosting par install kar paaye or Isko Social Media jaise Facebook, Twitter, Google+ par bhi share kare taaki ye jankari sabhi logo tak pahuch sake Aur Dosto Aapse Ek Request hain ki Please Aap Iss Blog ko pura support kare taaki ye ek Helpful blog bane aur jyada se jyada log Internet, Blogging ke bare me jaan paye.

As Always Iss Post Ko Padhne Ke Liye Aapka Dhanywad.
Previous
Next Post »