YouTube Se Paise Kaise Kamaye Full Guide In Hindi

Hello dosto swagat hain aapka humare iss BlogMe. Dosto aaj main ek interesting topic ke bare me baat karunga jo ki hain YouTube Se Paise Kaise Kamaye ji ha dosto agar aapme kisi type ka creativity hain aur aap usko video ke form usko public taak pahucha sakte hain toh bilkul aap YouTube se paise kama sakte hain.


YouTube Se Paise Kaise Kamaye Full Guide In Hindi


Main Jab YouTube Open karta hu toh dekhta hu ki Lakho Log Aaj Apne ghar baithe Online Income kar rahe hain wo Bhi YouTube Se. Agar Aapko lag raha hain ki main jhute bol raha hu toh aap yaha galat sabit ho rahe hain kyunki agar aap youtube me dekhe toh itne creators hindi me ya phir kuch bhi show karke lakho rupaiya Waha se Online Earn Kar rahe hain. Baas Jarurat hain toh aapko sahi jankari pane ki aur agar youtube ke rules and regulation ko sahi se follow kariyega toh dosto paaka aap waha se dusro ke jaise income kar payenge.

YouTube Google ka ek Product toh aap jante hee honge ki google ke kitni badi Internet Company hain tab toh aap YouTube pe aram se Trust kar sakte hain. dosto youtube pure duniya pe sabse bada video sharing platform hain dosto aapko baas yaha ek YouTube Channel banane ki jarurat hain aur phir aapko usme video dalna hain hoga then aap Waha se Paise jarur se jauru kama payenge agar aapke paas Ek YouTube Channel hain ya aapne Ek Channel Create kiya hain toh thik hain lekin agar aapne koi channel create nahi kiya hain toh aap iss post ko aage padhte rahe aur jinhone Channel Create Kar Bhi Diya hain wo bhi kripya kar iss post ko padhe taaki aaapko jyada jankari mil sake.

YouTube Se Paise Kaise Kamaye Full Guide In Hindi

Dosto jaise ki maine pahle bataya hain ki agar aapke paas channel hain toh bhi aap iss post ko padhe taaki aapko agar kuch information nahi malul hoga tab bhi aap yaha se uski Jankari le payenge aur Apne YouTube Channel ko sahi se setup kar payenge aur jo yaha bilkul new hain wo toh jarur padhe To Chaliye Start Karte hain...

Ek YouTube Channel Banane ke liye aapke paas Google Ka Gmail Account hona jaruri hain agar aapne Gmail Account Nahi Create kiya hain toh aap Gmail.com par jaakar apna Email id create kar sakte hain.

YouTube Pe Channel Kaise Banaye

Dosto YouTube pe Channel Banane ke liye aapko baas kuch simple steps follow karna hoga baas apko isme 5 minute lagega toh chaliye aapko bata deta hu.

STEP 1::

Dosto Aap Jo bhi browser use karte hain waha aap YouTube.com ko open kijiye Upar ke right corner ek People Icon Milega waha aapko click karna hoga.

Jab aap People Icon par click kar denge toh aapke paas ek menu open ho jayega. isme aapko profile picture pe click karke setting par click karna hoga.

STEP 2::

Dosto ab aapke samne jis bhi web page aapke samne open hoga waha aapko See all my channel or create new channel par click karna hoga.

STEP 3::   

Dosto ab aap Create a New Channel Par click kare.

STEP 4::

Dosto jab aap Create a New Channel Par click kar denge tab uske baad aapke paas ek new page open hoga usme YouTube ek new channel banane ek liye bolega yaha aapko jis name se aapko apna channel banana hain aap wo name yaha dale aur Creat Option Par click kar de.

STEP 5::

Jab aap Create par click kar denege toh aapke click karte hee YouTube par aapka channel jo hain wo create ho jayega. ab agla kaam ye rahega ki Kyunki YouTube Google ka product hain toh Google Aapse Ek verfication karega jo ki aapke Mobile Number se verify hoga.iske liye aapko kuch step follow karna hoga:-

1. Apna Koi Bhi Mobile Number Dale

2. Verfication Code ke liye aapko OTP ya Call Option Choose karna hoga.

3. Verfication Code ke liye Mobile Number Dalkar Continue par click kare

STEP 6::

Ab jo webpage aapke samne khulega waha aapko apna Verification Code Dalna hoga jo aapke mobile par text ya call ek roop me aya hoga iske liye :-

1.Verification Code Enter kare

2. Continue Par Click kar aage badhe

STEP 7::

Aab Aap jab bhi continue par click karenge toh aap apne YouTube Channel ke homepage par pahuchenge. aapko yaha kuch customization karna hoga jaise Channel ka logo upload karna, cover photo upload karna, apne channel ke bare me kuch likhna ye sab samil hain agar aapko insab ke bare me samajh me naa aaye toh aap YouTube ke kuch channel pe jaake jankari le sakte hain.

Ab jab aapka YouTube Channel create ho gaya hain toh chaliye abb baat karte hain ki video upload kiya jaye toh chaliye jante hain.

YouTube Pe Video Upload Kaise Kare

Dosto steps ko batane se pahle main aapko ek baat dena chahta du ki agar aapko Video ko thoda professional banana ho toh aap Filmora, Camtasia iss type ke video editing software ka bhi use kar sakte hain to chaliye abb jante hain ki YouTube pe video kaise upload karna hain.

STEP 1::

Video ko Upload karne ke aapko apne upper right corner me Upload Icon Pe Click karna hoga.

Iske baad aap ek page me redirect ho jayenge yaha aapko 3 option milenge videos ko upload karne ke liye milenge jo ki hain :-

1. Select To File Upload :- Yaha aap apne Computer pe save kiye huwe videos ko select karke video ko upload karnege

2. Import :- Agar aapne pahle kabhi Google Photos pe video upload karke rakha hoga toh aap waha se uss video ko Import karke yaha YouTube pe video upload kar sakte hain.

3. Get Started :- Yaha aap Live stream karke video ko live upload kar sakte hain.

Normally sabhi YouTubers Select To File Upload hee select karke video upload karte hain toh aap bhi yahi se video upload kar aur sab bhi aap video select karnege aapki video aapki internet speed ke anusar upload honi suru ho jayegi.

Jab Aap apni video ko upload karenge toh aapko bahut saare option dekhne ko mil jayegi jo ki aapke video ko viral karne me bahut jyada madad karegi un option ke baare apako yaha bata raha hu:-

1. Yaha aap apne video ko upload hote dekh sakte.

2. Isme aap apne video ka name enter kar sakte hain jo ki YouTube ke audience ko show hogi.

3. yaha aap apni video ke bare video description likh sakte hain.

4. Yaha apne video ko apne hisab se Public ya Private kar sakte hain.

5. yaha aap apne video se related tags dal sakte hain.

6. aap agar pahle se video upload kar rahe hain toh aap Uska Playlist bana kar isko add kar sakte hain.

7. Video upload hone ke baad aap custom thumbnail upload kar sakte hain.

8. Aab Aap Apni Video ko Publish kar sakte hain.

Toh dosto jaise hee aap Publish par click kar denge toh aapki video aapke channel pe live ho jayegi.

Aab Dosto Aapne Apna YouTube Channel bana liya video upload kar diya aab main aapse main baat karunga jo ki hain ki aapne Video ko YouTube pe Upload kiya hain usse paise kaise kamaye.

YouTube Video Se Paise Kaise Kamaye       

YouTube se Online income kamane ke liye aapko apne channel ko monetize karna hoga jisse aapka sara video monetize hoga aur aapke sare video pe advertisement show hoga jisse aapki earning hogi. 

Toh iske liye dosto aapko kuch YouTube ki Term and Condition ko follow karna hoga jo ki abhi abhi YouTube ne Update kiya hain jo ki hain aapke paas 4000 watch time and 10000 video views aapke paas hona chahiye then aap Apne Channel pe monetization start kar sakte hain jo ki apako Adsense ko Apply karne ke liye qualify karega then dosto jab bhi aapke paas 4000 watch time and 10000 video views ho jaye toh aap AdSense ke liye apply kar sakte hain Monetization Option me jaakar.

Toh Dosto aab aapko pata chal gaya hoga ki aap YouTube se paise kaise kama sakte hain actually aapke video pe main income 2 prakar se hogi jo ki hain:-

1. Jab koi Audience Humari ads pe click karega.

2. Jab bhi koi Online Shopping site ki Affiliate Link ka istemal apne YouTube Video pe karenge.

Agar Aapka maan YouTube se paise kamane jo nahi karta hain toh dosto aap humare ye post ko padh sakte hain 

1. Internet Se Paise Kaise Kamaye ? Make Money Online in Hindi

2. Free Website Blog Kaise Banaye | Paise Kaise Kamaye

To Dosto aap iss tarah se YouTube Se Paise Kama Sakte Hain baas aapko iske kuch small rules ko dhyan me rakhte huwe chalna hoga then aap ek sucessfull YouTuber Ban Payenge. Agar aapke paas koi question, doubt, Good Suggestion ho toh please aap Comment kare.

I Hope aapko YouTube Se Paise Kaise Kamaye Full Guide In Hindi acchi lagi hogi toh please aap iss post ko apne Friends or Relatives me share kare taaki wo bhi Youtube Se paise kama paye or Isko Social Media jaise Facebook, Twitter, Google+ par bhi share kare taaki ye jankari sabhi logo tak pahuch sake Aur Dosto Aapse Ek Request hain ki Please Aap Iss Blog ko pura support kare taaki ye ek Helpful blog bane aur jyada se jyada log Internet, Blogging ke bare me jaan paye.

As Always Iss Post Ko Padhne Ke Liye Aapka Dhanywad.
Previous
Next Post »