Bidvertiser Se Paise Kaise Kamaye Puri Jankari In Hindi

Hello dosto Bidvertiser ek Advertising PPC (Pay per click) network hain jo ki 2003 me adsense ke sath start huwi thi. aaj iss post mein aapko iski puri jankari dunga ki Bidvertiser kya hain aur aap isse paise kaise kama sakte hain. iss post ko padhne se pahle main aaapko ye bata du ki hum sab jante hain ki Advertisement humare Blog or website ke liye kitna jaruri hain paise kamane ke liye.


Bidvertiser Se Paise Kaise Kamaye Puri Jankari In Hindi


main Aaplogo se request karke kahna chahunga ki aap iss post ko pura padhe taaki aapko ek dam depth knowledge mil jaye aur aap bhio Bidvertiser se paise kama paye. main iss post me aapko puri jankari dene ki kosish karunga.

Bidvertiser Kya Hain ?

Bidvertiser ek different type ka PPC (Pay per click) network hain jo ki uske dwara show kiye huwe advertisment pe click karne paise aapko deta hai jo ki humare website ya blog pe show kiye huwe ads ke dwara hota.

Koi bhi user agar aapke blog pe aata hain aur aapke post me lage huwe ads pe click karta hain toh wo ek alag page me redirect ho jata hain aur wo user waha se kuch jankari leta hain ya phir waha kisi product ko buy karta hain ya phir kisi bhi survey se related form ko fill up karta hain to uska bhi commission humko milta hain. to waha se double income ka bhi chance badh jata hain jo ki sara chiz aapke users pe depent hain.

Bidvertiser Kaam Kaise Karta Hain

Bidvertiser ke kuch tarike hain jiske liye ye sabse alag mana jaata hain.

1. Online market me jo website ya blog hote hain wo apne internet ko promote karne ke liye bidvertiser ko paise dete hain.

2. Jab Online Marketers se bidvertiser paise le leta hain toh wo usko verify karke apne category me set kar leta hain.

3. Jab Aapke aur humare jaise user unki category me set kiye huwe ads ke jariye unke websites pe jata hain toh unki income hoti hain.

4. Jo Publishers hote hain jinke paas pana blog website hota hain unke paas commission monthly basis par paypal ke through unke bank account me send kiya jata hain.

Bidvertiser par Account Create Kaise Karte Hain

Aapko apne blog me Ads ko Show Karwane ke liye aapke paas publisher account hona jarururi hai.

1. Email ID :- ye humare liye bidvertiser me login id ki tarah kaam karega.

2. PayPal Account :- Jo hame yaha se commission milega wo hame paypal account ke jariye bidvertiser send karega. paypal account kaise banye iske liye main tutorial jald hee post karunga.

3. Blog/ Website :- Ads ko show karne ke liye aapke paas Blog ya website ka hona jaruri hain because bidvertiser jo hume ads code dega wo hume yaha lagana padega.tabhi jaake koi user humari website pe user aayenge aur ads pe click karnge then humari income hogi. Agar Aapko ye jaane hain ki free me blog kaise banaye toh aap yaha par iski jankari le sakte hain. Free Website Blog Kaise Banaye | Free Google Website (Blogger).

Bidvertiser Se Payment Kaise Milti Hain

Yaha pe Publisher ke liye sabse acchi baaat ye hain ki yaha aap kaam earned commission ko bhi withdrawal kar sakte hain iska matlab ye hain agar aapke paas aapke bidvertiser account me kaam income bhi huwi hain toh aap usko apne paypal account me withdrawal kar sakte hain. Yaha main aapko details de deta hu ki aap kaha kitna payment ke sakte hain.

1. Paypal :- Minimum 10$

2. Western Union :- Minimum 10$

3. Cheque :- Minimum 100$

4. Wire Transfer :- Minimum 10$

Bidvertiser Par Account Kaise Banate Hain

Toh aab mooje lagta hain ki aap ready honge Apne blog pe advertisment dikha kar paise kamane ke liye toh chaliye suru karte hain aur baate hain yaha acccount kaise banaye to aap iss step ko follow kare.

1. Sabse pahle aapko iske official website me jaaye. uske baad aapko Register pe click karna hoga 

2. uske baad aapko sub coloumn se Publisher pe click karna hoga.

3. Ab jo registration form khulega usko fill kare.

4. Aap jaise hee email id dalenge bidvertiser aapke mail par ek code send karega jo ki aapko confirmation ke liye waha enter karna hain toh uske dalne ke baas aap Continue par click kare.

5. Ab aapka Bidvertiser Account Ready hain.

To dosto aab humne apna bidvertiser account bana liya hain or humne ye bhi jaan liya ki ispe paise kaise kamayenge.

Aab aap iske ads code ko copy karke apne blog me add karde aapki online income start ho jayegi.

Bidvertiser ka Code blog par kaise lagaye

jab aap apna account bana lenge toh dosto aap apne account me login kare uske baad mere diye gaye steps ko follow kare.

1. Add New Bidvertiser par click kare.

2. Add New Bidvertiser under new domain pe click karna hain.

3. Ads ka title de jo aapko accha lagta hain.

4. Apna Blog website ka address enter kare.

5. Agar aapke paas blog hain aur jo uska main url hain wahi dale otherwise isko blank hee rahne de.

6. Apne blog ka language select kare.

7. Apne blog website ka field ya category select kare jaise ki agar aapka blog tech se releted toh aap technology select kare.

8. uske baad yaha aapko category aaa jayegi unme se apni blog website se releted. yaha par ek baat ka dhyan rahe ki jayda income ke liye koi galat category n chune jisse appke user ko kuch dikkat naa ho aur unhe sab kuch sahi jankari mil sake.

9. In Lasr Finish Ke Button par click kar de aab aapki website bidvertiser se connect ho chuki hain.

10. ab Bidvertiser center pe click kare.

In next page aap dekhenge ki aapki site me list ke show hone lagegi toh aap confirm ho jayege ki aapki site aab connnect ho chuki hain.

1. Agar aapko apne blog website me different different size ke ads lagane hain toh aap sub category create kar le. previous step ko repeat kar ke.

2. List me site ko select karne ke baad choose template par click kare ek popup webpage open hoga usme apne ads ka size choose kare le then update button me click kare de.

3. Get Ad Code ki button par click kare fir ek popup webpages khulega uspar ek code display hoga usko aap copy karke aapne blog website me aap jaha show karna chahte hain waha show karwa sakte hain iske liye aap uss ad code ko apne blog ke html coding me paste kare de.

Toh mujhe aasa hain ki aap samjah gaye honge ki aap Bidvertiser se paise kaise kama sakte hain aap humare iss blog se connected rahiye dosto main yaha aapko blogging aur internet se related make money online ki jankari dete rahunga.

I Hope aapko Bidvertiser Se Paise Kaise Kamaye Puri Jankari In Hindi acchi lagi hogi toh please aap iss post ko apne Friends or Relatives me share kare taaki wo bhi Bidvertiser Se paise kama paye or Isko Social Media jaise Facebook, Twitter, Google+ par bhi share kare taaki ye jankari sabhi logo tak pahuch sake Aur Dosto Aapse Ek Request hain ki Please Aap Iss Blog ko pura support kare taaki ye ek Helpful blog bane aur jyada se jyada log Internet, Blogging ke bare me jaan paye.

As Always Iss Post Ko Padhne Ke Liye Aapka Dhanywad.
Previous
Next Post »